Thursday 2 February 2012

Indian Shero shayri,Dil-e-bayan: Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain...

Diya Hai Dil Agar Us Ko, Bashar Hai Kya Kahiye
Hua Raqeeb To Ho, Naamabar Hai, Kya Kahiye
Ye Zid, Ki Aaj Na Aave Aur Aaye Bin Na Rahe
Qazaa Se Shikva Hamain Kis Qadar Hai, Kya Kahiye
Rahe Hai Yun Gah-O-Begah Ke Ku-E-Dost Ko Ab
Agar Na Kahiye Ki Dushman Ka Ghar Hai, Kya Kahiye
Zih-E-Karishma Ke Yun De Rakha Hai Hamko Fareb
Ki Bin Kahe Hi Unhe Sab Khabar Hai, Kya Kahiye
Samajh Ke Karte Hain Bazaar Main Vo Pursish-E-Haal
Ki Ye Kahe Ki Sar-E-Rahguzar Hai, Kya Kahiye
Tumhen Nahin Hai Sar-E-Rishta-E-Wafa Ka Khayaal
Hamaare Haath Main Kuch Hai, Magar Hai Kya Kahiye
Unhe Sawaal Pe Zaom-E-Junoon Hai, Kyun Ladiye
Hamain Jawaab Se Qata-E-Nazar Hai, Kya Kahiye
Hasad Saza-E-Kamaal-E-Sukhan Hai, Kya Kije
Sitam, Baha-E-Mataa-E-Hunar Hai, Kya Kahiye
Kaha Hai Kisne Ki “Ghalib” Bura Nahin Lekin
Sivaay Iske Ki Aashuftaasar Hai Kya Kahiye

siswa bazar

No comments:

Post a Comment