Monday 25 July 2011

Kaash hume bhi koi...siswa bazar

Kaash hume bhi koi...


Kaash hame bhi koi samjhane wala hota,
To aaj hum nasamajh na hote,

Kaash koi prem ki pyali pilane wala hota,
To aaj hum sharaabi na hote,

Kaash koi hum par jaan fida karne wala hota,
To aaj hum kaatil na hote,

Kaash koi hamare saath ghar basane wala hota,
To aaj hum beghar na hote,

Kaash koi hamare saath dosti karne wala hota,
To aaj beghar dost ka na hota,

Shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai,
Nahi to aaj hum shaayar na hote..!!!

No comments:

Post a Comment