Thursday 31 March 2011

Meri mohabbat hai wo, koi majboori to nahi..

Meri mohabbat hai wo, koi majboori to nahi..

Meri mohabbat hai wo, koi majboori to nahi
Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahi,

Yeh kya kuch kam hai ke basa hai meri saanson me
Ab Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin,

Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe
Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahi,

Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa wo
Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahi,

Us ke ghar ki taraf uthte hi ruk jaate hain kadam
Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahi,

Kyun log madhosh hote hain meri mehak se
Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to nahi,

Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere
Kum aqali hai meri koi shaoori to nahi,

Kyoun sulgaata hai apne aap ko ae dost,
Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.

No comments:

Post a Comment